sahaili tu bata tu nay kaha tha kuch bataoon gi!
sakhi socha hai ab kay khawab ka chahra banaoon gi
sahiali teray sajan nay kisi say nata joda tou?
sakhi parwa nahi koi nahi khatir main laoon gi
sahaili janti hai mard tou bedard hota hai
sakhi wo dol jaey ga main jab kajal lagaoon gi
sahaili osko bhati hai sada kalian chutaknay ki
sakhi mabhut ho jaey ga main jab gungunaoon gi
sahaili teray sajan ko hiran ki chal bhaati hai
sakhi is chal say iman oska dagmagaoon gi