ye kaisa nasha hai main kis ajab khumar main hun
tu aakay ja bhi chuka hai main intizar main hun
makan hai qabar jissay log khud banatay hain
main apnay ghar main hun ya main kisi mazar main hun
bas itna hosh hai mujh ko keh ajnabi hain sab
ruka hoa hun safar main kisi dyar main hun
main hun bhi or nahi bhi ajeeb baat hai ye
ye kaisa jabar main main kis kay ikhtiyar main hun
munir daikh shajar chan or diwarain
hawa khiza ki hai sar par main shab bahar main hun