Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 239 - Total Replies: 2

POSTED BY: kashish on 01/05/2008 06:16:51


maiN jahaaN rahuN,maiN kahin bhi huN
teri yaad saath hai...

maiN jahaaN rahuN,maiN kahiN bhi huN
teri yaad saath hai...
kisise kahuN ,ke nahiN kahuN
ye jo dil ki baat hai..

kehne ko sath apne ik duniya chalti hai
par chhupke is dil meiN tanhaai palti hai

bas yaad saath hai
teri yaad saath hai

teri yaad saath hai-2

maiN jahaaN rahuN,maiN kahin bhi huN
terii yaad saath hai..

kahiN to dil meiN yaadoN ki ik sooli gad jaati hai
kahiN har ik tasveer bahot hi dhoondhli pad jaati hai
koi naye duniya ke naye raNgo me khush rehta hai
koii sab kuch paake bhi ye man hi man kehta hai

kehne ko sath apne ik duniya chalti hai
par chhupke is dil meiN tanhaai palti hai

bas yaad saath hai
teri yaad saath hai

teri yaad saath hai-2

kahiN to beete kal ki jaDe dil meiN hi utar jaati hai
kahiN dhaage tootte to malaaeN bikhar jaati hai
koi dil meiN jaGah nayi baatoN ke liye rakhta hai
koi apni palkoN par yaadoN ke diye rakhta hai

kehne ko sath apne ik duniya chalti hai
par chhupke is dil meiN tanhaai palti hai

bas yaad saath hai
teri yaad saath hai

teri yaad saath hai-2





--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~




POSTED BY: loveismylife on 01/05/2008 15:58:29


very nice



Saans chalty rahi, waqt katta raha
Hum bhi chaltay rahay, dil bhi jalta raha

Din badlay hain, badlay zamanay yahan
Tu jo kehty rahi main woh kerta raha

Tujh ko paney ki umong mein sokon lott gaya
Tu chalaty rahi aur main chalta raha

Phool toda hoa bhi murjha jata hay
Main tujh se biched ker bhi hansta raha

Khoot tujh mein hay, meri wafa mein nahi
Main kinaray ko manzil samjhta raha

Back To Top




POSTED BY: kashish on 02/05/2008 04:59:46


Khoot tujh mein hay, meri wafa mein nahi
Main kinaray ko manzil samjhta raha


very nice ....





--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~
Back To Top
19/11/2026



*** NkuT.Com ***