| POSTED BY: kashish on 01/05/2008 06:16:51 |
|
maiN jahaaN rahuN,maiN kahin bhi huN teri yaad saath hai...
maiN jahaaN rahuN,maiN kahiN bhi huN teri yaad saath hai... kisise kahuN ,ke nahiN kahuN ye jo dil ki baat hai..
kehne ko sath apne ik duniya chalti hai par chhupke is dil meiN tanhaai palti hai
bas yaad saath hai teri yaad saath hai
teri yaad saath hai-2
maiN jahaaN rahuN,maiN kahin bhi huN terii yaad saath hai..
kahiN to dil meiN yaadoN ki ik sooli gad jaati hai kahiN har ik tasveer bahot hi dhoondhli pad jaati hai koi naye duniya ke naye raNgo me khush rehta hai koii sab kuch paake bhi ye man hi man kehta hai
kehne ko sath apne ik duniya chalti hai par chhupke is dil meiN tanhaai palti hai
bas yaad saath hai teri yaad saath hai
teri yaad saath hai-2
kahiN to beete kal ki jaDe dil meiN hi utar jaati hai kahiN dhaage tootte to malaaeN bikhar jaati hai koi dil meiN jaGah nayi baatoN ke liye rakhta hai koi apni palkoN par yaadoN ke diye rakhta hai
kehne ko sath apne ik duniya chalti hai par chhupke is dil meiN tanhaai palti hai
bas yaad saath hai teri yaad saath hai
teri yaad saath hai-2
--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~
|