| POSTED BY: Kshitiz on 28/04/2008 14:43:56 |
|
Tu kahin bhi rahe sar pe tere ilzaam to hai tere haathon ki lakiiron mein mera naam to hai ....... Mujhko tu apnaa bana ya na bana teri Khushi tu zamaane mein mere naam se badnaam to hai ..... Mere hisse mein koi jaam na aayaa na sahi teri mehfil mein mere naam koi shaam to hai .... Dekh kar log mujhe naam tera lete hain is pe main Khush hoon muhabbat ka ye anjaam to hai ..... Tum sitamagar hi sahi dekh ke Tujhko "Aarzoo" shukr es dil-e-bimaar ko aaraam to hai ...
--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
|