Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 246 - Total Replies: 3

POSTED BY: detectiveash on 29/03/2008 17:04:03


Mujhe Baahon Mein Bikhar Jaane Do..........

Mujhe baahon mein bikhar jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do

Dil machalta hai aur saans
rukti hai,
Ab toh seene mein aaj mujhe utar aane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do

Shokh nazron ko sharm aati hai,
Thartharaate hue labon ko chain paane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do

Raat tanha hai aur sard mausam hai,
Shola-e-ehsaas ko ab aur bhadak jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do

Behke hain hum fizaa jo behki hai,
Dil ko dil rooh ko rooh mein sama jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do

Bikhre gesu hain bikhra kaajal hai,
Haule haule is shab ko tum guzar jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do

Abhi aur bhi armaan dil me baaki hai,
Yuhin baahon mein is raat ko kat jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do

Mujhe baahon mein bikhar jaane do
Apni mushkabaar saason se mehek jaane do




--------------------------------------------------------------
Biggest gamble of my LIfe...........




POSTED BY: Nanu_Ninu on 29/03/2008 17:32:27


Der raat jab kisi ki yad satay, thandi hawa jab zulfon ko sahlaye, karlo aankhe band aur so jao,


kya pata jiska hai khyal wo khwabon mein aa jaye





--------------------------------------------------------------
Sab ki AAN sab ki SHAAN sab ka ek BHAIJAAN-Salman khan
Back To Top




POSTED BY: sahirchaudry on 29/03/2008 19:50:32


tum apni sans use karo na




--------------------------------------------------------------
SALAM YA HUSAIN(A.S)
Back To Top




POSTED BY: Kshitiz on 30/03/2008 01:10:26


Tum laakh chupao chehre se ehsaas hamari chahat ka,
Dil jab bhi tumhara dhadhka hai awaaz yahan tak aayi hai.




--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
Back To Top
19/11/2026



*** NkuT.Com ***