|
| POSTED BY: aneela on 21/11/2007 09:33:31 |
|
yaadon ka ik jhonka aaya hum se milne barson baad pehle itna roye nahin thay , jitna roye barson baad
lamha lamha ghar ujra hai mushkil se ehsaas hua pathar aaye barson pehle , sheeshe toote barson baad
aaj humari khaak pe dunia rone dhone bethi hai phool huay hain jaane kaise itne saste barson baad
bhool bhi jao kis ne torra , kaise torra , kyon torra dhoond rahe ho kya galiyon main , dil ke tukrre barson baad
dastak ki umeed lagaye kab tak kaise jeete hum kal ka wada karne wale , milne aaye barson baad
--------------------------------------------------------------
ANEELA
|