MAIN USS KO BHOOL KAR KHUSH HOON ~
Haqeeqat Hay,Yaqeen Kar Lo,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
Muhabbat Mar Chuki Ab To,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
Badalti Rutt Ki Wajah Se,Tabiat Kuch Bojhal Si Hay
Yun Mera Haal Mat Poocho,Main Uss Ko Bhool Kar khush Hoon
Mery Lehjay Par Mat Chonko,Meri Aankhon Mein Mat Jhanko
Yun Hairat Se Na Dekho,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
Tumhein Kya Weham Hay Kiun Raat Bhar Milnay Nahi Aatin
Aey Meri Neend Ki Pariyoon,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
Bhala Kiun Roz Banhein Waa Kiye Mujh Se Milnay Aati Hay
Tum Uss Ki Yaad Se Keh Do,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
Udasi Saray Ghar Mein Pahilti Jati Hay Gham Ban Kar
Dar o Deewar Pe Likh Do,Main Uss Ko Bhool Kar Khush Hoon
waqt nahiii
Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Maa Ki Loree Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.
Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.
Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apane Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,
Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi.......
tujhe choor ker tujhe dhoondna
kabi iss nagar tujhe dekhna , kabhi uss nagar tujhe dhoondna
kabi raat bhar tujhe soochna , kabhi raat bhar tujhe dhoondna
mujhe jaa baja teri justajoo , tujhe dhoondta hun mien ko ba ko
kahan khul saka hai teray roo ba roo , mera iss qadar tujhe dhoondna
mera khuwaab tha k khayal tha , woh arooj tha k zawal tha
kabi arsh per tujhe dekhna , kabhi farash per tujhe dhoodna
yahan her kissi se hi bair hai , tera shehar qaria-e-ghair hai
yahan sehal bhi to nahi koi meray baykhabar tujeh dhoondna
teri yaad aai to mein roo dia , tu mill gaya to tujhe khoo dia
meray silsalay bhi ajeeb hien , tujhe choor ker tujhe dhoondna
yeh meri ghazal ka kamal hai k teri nazar jamal hai
tujhe shair shair mien soochna , sar-e-baam o dar tujhe dhoodna