| POSTED BY: aneela on 17/11/2007 16:20:56 |
|
Tanha rehna seekh raha hoon Tanha rehna seekh raha hoon Mar kay jeena seekh raha hoon
Mang kay pana seekh liya hai Pa kay khona seekh raha hoon
Sabar ko zad-e-rah bana kar Kanch pay chalna seekh raha hoon
Phirtay, phirtay sehra, sehra Pyaas ko peena seekh raha hoon
Marham to rakhna na aaya
Zakhm khoorachna seekh raha hoon
Jeenay kay hain ajab taqazay Zinda rehna seekh raha hoon
Madhooshee nay bohat sataaya Hosh main rehna seekh raha hoon
Barson guzray phir bhi ab tak Maan say bichcharna seekh raha hoon
Dar kar zehar kay pyaalay say Such ko chupaana seekh raha hoon
Rotay rotay auron par Khud pay hansna seekh raha hoon
Ghum nay mujh ko bohat hai khaya Ab gham khana seekh raha hoon
Is pay hairan hotee hoon Kartab, kya kya seekh raha hoon
Mang kay pana seekh liya hai Pa kay khona seekh raha hoon
Sabar ko zad-e-rah bana kar Kanch pay chalna seekh raha hoon x............x............xx............
--------------------------------------------------------------
ANEELA
|