yaadon ko apne dil se mita kyun nahi dete
jo jaa chuka hai usko bhula kyun nahi dete
mujrim hoon main teri mujhe itna to bata
khamosh khade Ho saza kyun nahi dete
use jiske zakhm hai inaayat teri
unn adhjali rasmon ko jala kyun nahi dete
usne tumhari khatir kya kya nahi kiya
tum uski wafaon ka sila kyun nahi dete
tumhe mujh se mohabbat hai janti hoon main
yeh baat apne lab se tum kyun bata nahi dete
anmol khazana hai muskurahatein teri
thoda sa ise mujh par luta kyun nahi dete
woh aag jo dil mein lagayi thi kabhi tumne
woh aag aaj khud hi bujha kyun nahi dete
ek arsa ho gaya chain se soye hue
mere chain, meri neend, tum lauta kyun nahi dete?