Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 279 - Total Replies: 2

POSTED BY: recipr0cal on 27/10/2007 21:55:55


ISS SE PEHLE K YE DUNIYA MUJHEY RUSWA KER DE


TO MERE JISM MERI ROOH KO TAAZAH KER DE


KISS QADAR TOOT RAHI HAI MERI WAHDUTT MUJH SE


AE MERI WAHDUTTON WALE MUJHEY YAKKJA KER DE


YE JO HAALAT HAI MERI MEIN NE BANAI HAI MAGAR


JAISA TO CHAHTA HAI AB MUJHEY WAISA KER DE


MERE HER FAISALE MEIN TERI RAZA SHAAMIL HO


JO TERA HUKAM HO WO MERA IRAADA KER DE


MUJH KO WO ILAM SIKHA JO UJAALA KER DE


MUJH KO WO ISAM PERRAH JO MUJHEY ZINDA KER DE


ZAAYA HONEY SE BACHALE MERE MEHBOOB MUJHEY


 YE NA HO WAQAT MUJHEY KHEL TAMASHA KER DE


MEIN MUSAAFIR HOON SAU RASTE MUJHEY RAAS AAYIEN GAY


MERI MANZIL KO MERE WAASTE RASTA KER DE


MERI AAWAZ TERI HUM`D SE LABRAIZ RAHE


BAZ`ME KAUNAIN MEIN JARI MERA NAGHMA KER DE


ISS SE PEHLAY YE DUNIYA MUJHEY RUSWA KER DE


TOO MERE JISM MERI ROOH KO TAAZAH KER DE......






--------------------------------------------------------------
Everything has been figured out in my life except how to live......:-|




POSTED BY: djsamaa on 27/10/2007 22:04:04


 

Pyaar Ke Deep Jalane wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai
Apni Jaan Se Jane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.


Hijar K Gehri Zakham Mile To Mujh Ko Kuch Ehsaas Hua
Pagal Ko Samjhane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai


Jaan Se Pyare Logon Se Bhi Kuch Kuch Perda Lazim Hai
Sari Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.

Khwabon Mein Bi Anmol Milan K Sapne Dekhte Rehte Hai
Neendon Mein Muskane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.


Iss Jhooti Nagri Mein Hum Ne Yehi Hamesha Dekha Hai
Sachi Baat Batane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.

Pyar Jinhein Ho Jaye Un Ko Chain Bhala Kab Mill Pata Hai
Shab Ber Ashk Bahane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.


Us Ke ISHQ Mein Bheeg Ke Ham Ko Yeh Ehsaas Hua
Dil Ki Baat Mein Aane Wale Kuch Kuch Pagal Hote Hai.





--------------------------------------------------------------
Here comes d trendsetter .. .
Back To Top




POSTED BY: recipr0cal on 27/10/2007 22:16:04


COME ONN SISSO YE HUM`D HAI.....




--------------------------------------------------------------
Everything has been figured out in my life except how to live......:-|
Back To Top
19/11/2026



*** NkuT.Com ***