Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 313 - Total Replies: 2

POSTED BY: djsamaa on 23/10/2007 20:27:04


 

Kitni Mushkil Say Katti Kal Ki Meri Raat Na Pooch

Dil Say Nikli Huey Hontoon Main Dabi Baat Na Pooch


Main Jis K Waastay Larh Jaoon Is Khudai Say

Mujhay Khud Say Hai Pyaari Yeh Kis Ki Zaat Na Pooch


Woh Kis Adda Say Merey Samnay Say Ghuzra Hai Abhi

Kis Tarhan Main Nay Sambhalay Merey Jazbaat Na Pooch


Waqt Jo Badlay Tu Insaan Badal Jaatay Hain

Kia Nahin Dekhlaatay Yeh Gardish-E-Haalat Na Pooch


Woh Kisi Ka Ho Bhi Gaya Aur Mujhay Khabar Na Hui

Kis Tarhan Us Nay Churaya Hai Mujh Say Haath Na Pooch


Is Tarhan Pal Main Mujhay Begana Kar Dia Us Nay

Kis Tarhan Apnoon Say Khai Hai Main Nay Maat Na Pooch


Ab Tera Pyaar Nahin Hai Tu Sanam Kuch Bhi Nahin

Kitni Mushkil Say Bani Thi Dil KI Kainaat Na Pooch











--------------------------------------------------------------
Here comes d trendsetter .. .




POSTED BY: alokdubeyforu on 24/10/2007 09:16:59


Nice one yaar....





--------------------------------------------------------------
Hum kare toh Balatkar! Aur aap kare tho chamatkaar!!!
Back To Top




POSTED BY: spiritualguy on 24/10/2007 12:35:01


andhero me bhatakte thokre khate rahe hum....


kitni lambi kitni shyah thi tanhai ki wo ek raat na poochh...


khanjar ban chubhti hai kaleje me aie sangdil....


asko ke daman me chupaye un jakhmo ki baat na poochh...


 





--------------------------------------------------------------
B practical to save ur own identity....
Back To Top
19/11/2026



*** NkuT.Com ***