Nikli mohbbat ki baat
to tum yaad aa gaye..
Uthey dil mein woh jazbaat ke tum yaad aa
gaye..
Yuun to dil mere bebass
na rehta tha ..
Par badley jab haalat to tum yaad aa
gaye..
Garmi ne sukha diya tha
teri yaadon ko..
Huwi jab barsaat to tum yaad aa
gaye..
Sone chandi
se bhara rehta tha yeh jism tera..
khaali dekhe apne
haath, to tum yaad aa gay..
Umar guzear di tujh ko
bhulaa ker..
Chodha zindagi ne saath to tum yaad aa
gaye....