|
| POSTED BY: Kshitiz on 05/10/2007 00:10:09 |
|
Kachi deewar hoon thokar na lagana mujko, Apni nazron mein basa kar na giraana mujko !
Tumko aankho mein tasavur ki tarah rakhta hoon, Dil mein dadkan ki tarah tum bhi basana mujko !
Baat karnay mein jo mushkil ho tumhay mehfil mein, Main samajh jaaonga nazron say bataana mujko !
Vaada utna hi karo jitna nibha saktay ho, Khawab poora jo na ho woh na dikhana mujko !
Apnay rishtay ki nazaakat ka baram rakh lena, Main to aashiq hoon deewana na banana mujko !
Kachi deewar hoon thokar na lagana mujko, Apni nazron mein basa kar na giraana mujko !
--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
|