Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 541 - Total Replies: 5

POSTED BY: kashish on 30/09/2007 21:48:48


ajnabi shaher ke ajnabi raaste


meri tanhayi pe muskurate rahe


 


main bahot derr tak yunhi chalti rahi


tum bahot derr tak yunhi yaad aate rahe





--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~




POSTED BY: kashish on 30/09/2007 21:57:42


tujhsa koi dil wala mehsoos kare mujhko


main geet nahi aisa jo sabko sunayi doon





--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~
Back To Top




POSTED BY: kashish on 30/09/2007 21:59:35


dost kya khoob wafawon ka sila dete hain


har naye mod per ek zakhm naya dete hain





--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~
Back To Top




POSTED BY: kashish on 30/09/2007 22:05:01


humko kiske gham ne maara yeh kahani phir sahi


kisne toda dil humara yeh kahani phir sahi


dil ke lutne ka sabab poocho na sabke saamne


naam ayega tumhara yeh kahani phir sahi





--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~
Back To Top




POSTED BY: Kshitiz on 03/10/2007 23:08:14


kuch ishq tha kuch majbori thi so main ne jeevan vaar diyaa
main kaisa zindaa aadami tha ik shaKhs ne mujh ko maar diyaa

ye sajaa sajaayaa ghar saaqi meri zaat nahiin mera haal nahiin
ai kaash kabhi tum jaan sako jo us sukh ne aazaar diyaa

main Khuli huwi ik sachchaai mujhe jaan ne vaale jaanate hain
main ne kin logon se nafrat ki aur kin logon se pyaar kiyaa

vo ishq bahut mushkil tha magar aasaan na tha yuhn jeena bhi
us ishq ne zindaa rahane ka mujhe zarf diyaa pindaar diyaa

ik sabz shaaKh gulaab ki tha ik duniyaa apane pyaar ki thaa
vo ek bahaar jo aayee nahiin us ke liye sab kuch haar diyaa

main rotaa huun aur aasmaan se taare Tuutate dekhataa huun
un logon par jin logon ne mere logon ko aazaar diyaa

vo yaar hon mahabuub mere yaa kabhi kabhi milane vaale
ik lazzat sab ke milane mein vo zaKhm diyaa yaa pyaar diyaa




--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
Back To Top




POSTED BY: alokdubeyforu on 04/10/2007 10:30:15


Fantastic Kashishji


 





--------------------------------------------------------------
Hum kare toh Balatkar! Aur aap kare tho chamatkaar!!!
Back To Top
19/11/2026



*** NkuT.Com ***