Yeh zara zara si baat pe Tarah tarah k azaab kion???? & nbsp;
Jo kisi say bhi khafa na ho Mujhay us khud ki talaash hay
Mujhay Laghzishon pe her ghari koi tokta hay Baar baar
Jisay ker k dil ko dukh na ho Mujhay us gunaah ki talaash hay
Bina hamsafar k kab talak koi musaafton main laga rahay?
jahan koi kisi say juda na ho, Mujhay us raah ki talaash hay
Mujhay daikh ker jo aik nazar, Meray saray dukh samajh sakay!
Jo is qadar ho chara gar Mujhay us Nigah ki talaash hay
Zeeshan