Maney ik pal tera naam liya tha shayad
Neend Naraz rahi raat meri ankhoon sey !
Kahawab Zaaroon ka tassawwur bhi hua khawab numaa
Dil ki har taal hoi dard ki aahat jaisay!
Soch mein khilnay lagay phool kai maazi kay
Titlioon jasay kayi lafz mujhay yaad aaye
Teri awaz ki khushbu, terey lehjay ki khanak
Teri Ankhhon ki shararat, terey hontoon ki mehek
Terey boley hoey jumloon ki wo khamosh kasak
Daer tak raat rahi phir teri yadoon ki dhanak
kitnay ansoo merey lafzoon mein dhalay, yaad nahi

Kab talak yaad ke ye deep jalay, yaad nahi
Maney ik pal ko tera naam liya tha shayad
Neend Naraz rahi raat meri ankhoon sey