Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 322 - Total Replies: 2

POSTED BY: kashish on 25/09/2007 10:12:27


Bohat mukhtasar mera kissa-e-jawani raha
daman khushk raha ankh main pani raha

Shayad wakif na tha main ishq ke pech-o-taab se
Wafaon say mera tarruf sirf gaibani raha

Main gam.e.yaar main duba gam.e.rozgar main khoya
Kiya kahoon kiya kiya fikr-e-zindagani raha

Hum muskarate rahe aap ki mehfil main par
Sulagta raha yeh dil aur dard nihaani raha

Umr ne sar se ghamoon ka sauda tha hata dia
Dil main par ik shaula-e-naagahanii raha

Dewanay uske shehr bhar main jo ruswa huwe
Woh jane kiyun phir bhi sar-giraani raha

Kiyun zalimoon nay maon ke bache cheen liye
Kahan aye khuda phir jazba-e-insaani raha






--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~




POSTED BY: Zeeshan on 27/09/2007 06:33:58


Diya khud say bujha daina


hawa ko aur kiya daina


kabhi is tor say hansna


k dunya ko rula daina


kabhi is rang say rona


k khud per muskura daina


Main tera munfarid saathi


Mujhay hat ker jaza daina


Mujhay acha lagay Mohsin


Usay pa ker ganwa daina





--------------------------------------------------------------
Zeeshan
Back To Top




POSTED BY: kashish on 27/09/2007 07:37:24


nice ....




--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~
Back To Top
19/11/2026



*** NkuT.Com ***