Jab naam tera piar say likhti hain unglian
Meri taraf zamany ki uth'ti hain unglian
Jis din say door ho gaye uss din say hi Sanam
Bas din tumhary aany k ginti hain unglian
Daman unn ka haath main aya tha aik pal
Din raat ussi pal say mehk'ti hain unglian
Pathar tarash kr na bana TAAJ ik naya
Fankaar ki jahan main kat'ti hain unglian