| POSTED BY: Kshitiz on 23/09/2007 18:57:15 |
|
raat ki khamoshi mein kuchh gunguna lete hai dard ko lafzon me dhaal kar har nagma bana lete hai
ashq toh aakhon se yunhi nahi behte hai hawa ke anchal se unko dil mein utar lete hai
tanhaai ki roshni hai itni mash-hoor ke hum saare diye bhuja lete hai
ban baithe the unke pyaar mein itne deewane ke ab baat be-baat muskura lete hai
poochhta hai jab koi wajah iss dard ki toh reit mein tera naam likh likh ke mita lete hai
ki jisne bewafai woh toh ho chuke kisi aur ke aur bewafai ka ilzaam hum par laga lete hai.
--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
|