tum woh pahli larki ho, jisko dekh ky meri aankhen khwaboon sey bhar jati hain
piyar ki neeli kirnain dil key kamry main dar aati hain, tum woh pahli larki ho
jis sey dhoka khany ko dil karta hey
tum woh pahli larki ho, jis ko dekh key mery dil ki khali tehni per
phool gulabi khil jaty hain, jisko dekh key mujhko apni marzi key sary mosam mil jaty hain
tum woh pahli larki ho, jisko dekh key saifal jheel pey utri paryan
apny hosh ganwa sakti hain, josko dekh key soi lehrain yakdam moj main aa sakti hain
tum woh pahli larki ho, jisko dekh key dhoop ka har ik tukra
badal ho sakta hey, jisko dekh key chand kisi shab pura pagal ho sakta hey
tum woh pahli larki ho, jisko dekho key
har ik pyar kahani sachi lagti hey, jisko dekh key
mujhko sari dunya achi lagti hey.....