Baarishon k mousam mein
Main ne uss se pocha tha
Chhore to na jao gay
Haath tham ker uss ne
Kaan mein ye bola tha
Kaise chhore sakta hoon
Tum to jaan ho meri
Aur aaj aiasa hai
Waqt ki tamazat mein
Wehshaton k mousam mein
Main ne uss se pocha hai
Chhore ker hi jaana tha
Muskrati galiyon mein
Aas kiyon dilai thi
Pyas kiyon jagai thi
Mere inn sawalon per
Na wo chonka na wo thehra
Chalte chalte itna bola
Sab hein khail mousam k......
