Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 308 - Total Replies: 7

POSTED BY: djsamaa on 01/09/2007 10:24:32


 


Ye arzu nahi k kisi ko bhulayen hum.
Na tamanna hai kisi ko rulayen hum.
Mahak teri aaj bhi saanso me hai chhipaye hum
Har ek ada teri . . meri in aankho me hai sajaye hum
Tu bhale mita de dil se mera wajood.
Magar teri jagah aaj bhi meri yaadon mein sajaye hai hum . ..

Par dua hai us rab se ek hi.
Jisko jitna yaad karte hain usko utna yaad aayen hum.


 





--------------------------------------------------------------
Here comes d trendsetter .. .




POSTED BY: THE_GAME on 01/09/2007 11:12:53


1 lamhe me simat aaya sadiyo ka safar..


1 lamhe me simat aaya sadiyo ka safar..


waqt bahut ,bahut tej chala ho jaise..


is tarah pahle use sochata nahi tha main..


is tarah pahle use sochata nahi tha main..


meri har saans uske naam likhi ho jaise..





--------------------------------------------------------------
For being good u need not to b a SUPERMAN... [
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 01/09/2007 11:36:28




KAASH MAIN KEH SAKUN

Kash main keh sakoon kabhi tm se
Dil ki har bat ankahi tm se.......... ..
Kash main keh sakoon kabhi ye bhi
bari mushkil hai dil lagi tm se
Kash ke main keh sakoon ke tm kya ho
Hai mere dil main chandni tm se
Kash main keh sakoon kabhi ke mujhe
Baat karni hai zaroori tm se
Kash ke ye bhi kabhi pooch sakoon
kaise hoti hai berukhi tm se
Kash wo waqt bhi ajaye ke ho
meri duniya main roshni tm se
Kash ye raz keh sakoon main kabhi
Hai ahseen meri shairi tm se
Kash lafzon main kabhi keh paoon
Mil ke hoti hai jo khushi tm se
Kash ye umr yoon guzar jaye
meri yadain rahain saji tm se..........





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top




POSTED BY: detectiveash on 01/09/2007 12:48:03


nice ppl

bt i cant add ne bcuz i dont know ne 





--------------------------------------------------------------
Biggest gamble of my LIfe...........
Back To Top




POSTED BY: djsamaa on 01/09/2007 18:14:41


Ash aap bhale hi shayri na likhen . . lekin mohabbat karne walon ko dua toh de hi sakte ho sisso . .. .




--------------------------------------------------------------
Here comes d trendsetter .. .
Back To Top




POSTED BY: recipr0cal on 01/09/2007 21:47:01


AAMAD PE TERI ITR-O-CHIRAG-E SUBO NA HO,


ITNA BHI BOOD-O-BAASH KO SAADA NAHIN KIA.






--------------------------------------------------------------
Everything has been figured out in my life except how to live......:-|
Back To Top




POSTED BY: maad01 on 03/09/2007 11:17:45




Kaho, mujhse mohabbat hai ...

Mohabbat ki tabiyyat mein
Ye kaisa bachpana kudrat ne rakha hai
Ke ye jitni purani jitni bhi mazboot ho jaye
Ise taeed-e-taaza ki zarorat phir bhi rehti hai
Yaqeen ki aakhri hadon tak dilon mein lehlahati ho
Nigahon se tapakti ho,lahu mein jagmagati ho
Hazaron tarah ke dilkash, haseen haale banati ho
Ise izhaar ke lafzon ki hajat phir bhi rehti hai
Mohabbat maangti hai yun gawahi apne hone ki
Ke jaise,tafl sada shaam ko ik beej boye
Aur shab mein baarha uthe
Zameen ko khod kar dekhe ke poda ab kahan tak hai
Mohabbat ki tabiyyat mein ajab takrar ki khu hai
Ke ye iqrar ke lafzon ko sun'ne se nahi thakti
Bicharne ki ghari ho ya koi milne ki sa'at ho
Ise bus aik hi dhun hai
Kaho, mujhse mohabbat hai
Tumhein, mujh se mohabbat hai
Kaho, mujhse mohabbat hai





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top




POSTED BY: alokdubeyforu on 06/09/2007 07:37:44


Bahut Khoob yaron.....




--------------------------------------------------------------
Hum kare toh Balatkar! Aur aap kare tho chamatkaar!!!
Back To Top
19/11/2026



*** NkuT.Com ***