Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 339 - Total Replies: 1

POSTED BY: Sincerejunejo on 27/08/2007 13:18:31


Maana K Bhul Jana Aap Ki Fitrat Hi Sahi *
* Magar Humein Bhul Jana Aap Ki
Kismat MeiN Nahi *

* Agar Yaqeen Naho To Aazma K Dekh Lena *
* Apny Aap
Ko Bhul Jaaoge Par Humein Nahi
..




POSTED BY: maad01 on 30/08/2007 18:48:40




MENE CHAHA USAY BHOOL JAON
mene chaha usay bhool jaon .......
faramosh kardon wo sub,roz o shab!!
usko dekhon to youn kay jesay wakif hi nahin
mein bhi us ki tarah ab kisi ro ko saath lay kar chaloon
har ghari khush rahoon .....,muskurata phiron
bewajah,besabab!!
jab hawa kay qadam misl-e-maynosh bedhab se parnay lagein
chandni khirkiuon se pukaray
nigahein chamaknein lagein
aahatein kaan mein sabz sargoshiyan karkay chalnein lagein
dast-e-mosam kay aaejaz se perhan zard patay badalnay lagein
bakht e khwabeeda gul aankh malnay lagein
kaash youn ho kay tab.............
usko dekhon to wo ajnabi sa lagay
uski aahat pe khwahish kay koi gul na khilein
wo pukaray agar...uski awaz pe kaan tak na dharoon
ehd-e-rafta ki har yaad ko bhool kar
anay wali ruton ka swagat karoon
uskay chehray ko ..,chehron kay anboah mein...
...is tarah gum kardoon...
kay phir wo ankhein rahein,na wo gaisoo..na wo lub..
mene chaha usay bhool jaon
faramosh kardon wo sub,
roz-o-shab!!!





--------------------------------------------------------------
Maad
Back To Top
19/11/2026



*** NkuT.Com ***