Yaadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai, Kaanon me gunjti shahnai si lagti
hai,
Aap karib ho to apnapan hai,
Warna seene me saanse bhi parai si lagti
hai.
• Woh ruthte rahe hum manate rahe,
Unki raahon me palkein bichate
rahe,
Unhone kabhi palat ke bhi na dekha,
Hum ankh jhapkane se bhi katrate
rahe.
• Manzil unhi ko milti hai, Jinke sapno me jaan hoti
hai,
Pankh se kuchh nahi hota, Hauslon se udaan hoti hai.
• Teri dosti
hum is tarah nibhayenge,
Tum roz khafa hona hum roz manayenge,
Par maan
jana manane se,
Warna yeh bheegi palkein le ke kaha jayenge.
• Dhoka
diya tha jab tum ne mujhe,
Dil se main naraaz tha,
Phir socha ki dil se
tumhe nikal dun,
Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha.....
•
Kismat pur aitbar kisko hai,
Mil jaye khushi inkaar kisko hai,
Kuch
mazboorian hain mere dost,
Warna judai se pyaar kisko hai.
• Chand
lamhon ki zindagani hai, nafraton se jiya nahi karte,
lagta hai dusamanon se
guzarish karni padegi, dost to aab yaad kiya nahi karte