hum Yousaf-E-Zamana thay abhi kal ki baat hai
Tum hum pe merban thay abhi kal ki baat hai
Wo din bhi thay k hum hi tumhari zuban pe thay
Mozoo-E-Dastan thay abhi kal ki baat hai
Karwan-E-Inqalab-O-Gul tum ko yaad ho
Hum Meer-E-Karwan thay abhi kal ki baat hai
Jin dosto ki kami hai aj hayat main
Wo apnay darmiyan thay abhi kal ki baat hai
Kuch haadson se gir gaey Mohsin zameen per
Hum Rakhs-E-Asman thay abhi kal ki baat hai