Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 356 - Total Replies: 0

POSTED BY: apnaali on 22/11/2008 05:02:19


us ki aankhon main mohabbat ka sittara hoga
us ki ankhoon mein mouhabat ka sitara hoga...
aik din ayee ga woh shaks humara hoga...

tum jahaaN meray liyee sipiyaan chunti hogi...
woh kissi aur hi duniya ka kinara hoga...

zindagi! ab kay mera naam na shamil kerna...
gar yeh tey hai kay yehi kheel dobara hoga...

jis kay honay say meri saans chala kerti thi...
kis tarhaan us kay baghair apna guzara hoga...

ye achanak jo ujala sa howa jata he
dil ne chup ke se tera naam pukara hoga

ishq kerna he to din raat usse sochna he
our koch zehan main aya to khasara hoga

ye jo paani main chala aya sonhri saa goror
usne derya main kahein paaon utara hoga

kon rota he yahan raat ke senatoon main
mere jesa hi koi hejar ka mara hoga

mojh ko maloom he jonhi main qadam rakhon gaa
zendagii tera koi our kenara hoga

jo mery roh main badal se garajte hain wasi
us ne sene main koi dard uttara hoga

kaam moshkel he mager jeet hi loonga ess ko
mere moola ka joon hi wasi eshara hoga

Mera Zikar Na Karna
Dukh Dard Kay Maroon Say Mera Zikar Na Karna
Ghar Jaon To Yaroon Say Mera Zikar Na Karna
Woh Zabt Na Kar Paen Gay Ankho Kay Samander
Tum Rah Guzaroon Say Mera Zikar Na Karna
Pholon Kay Nashaiman May Raha Hoon May Sada Say
Daikho Kabhi Kharon Say Mera Zikar Na Karna
Woh Meray Hal May Bay Sakhta Na Ro Dain
Is Bar Bharoon Say Mera Zikar Na Karna
Shayad Yai Andhaira Hi Mujhay Rah Dikhay
Tum Chand Sitaroon Say Mera Zikar Na Karna
Kaheen Woh Meri Kahani Ko Ghalt Rang Na Dai Dain
Afsana Nigaroon Say Mera Zikar Na Karna
Gehrahi May Layjain Gay Tum Ko Bhi Baha Ker
Darya Kay Kinaroon Say Mera Zikar Na Karna
Woh Shaks Melay To Usay Her Bat Batana
Tum Sirf Isharoon Say Mera Zikar Na Karna




--------------------------------------------------------------
READ THIS DUAA FOR BETTER LIFE...Allahumma- inni- ala-Zikr-ika- wa Shuk-rika wa husni-ibad-atika."Maa" tu muje bht yaad aati hai,Ajj muje apni aagosh may le le,is se pahle k zindagi ki sham hojaye...RAB Ne "Maa" Ko Yah Azmaat E Kamal Di,Us Ki Duwa Pay Aayi Musibaat Bhi Taal Di,Quran E "Maa"k Piyar Ki Is Tarhan Misal Di,Jannat Utha K "Maa" K Kadmon May Daal Di......!
18/11/2026



*** NkuT.Com ***