Kabhi tum idhar se guzar ke to dekho,
In aankhon se dil main utar ke to dekho,
Yahan tum ko apni mohabbat milegi,
Bohut gham diye the humain zindagi ne,
Khilone se badh kar na samjha kisi ne,
Magar tum ne aa kar bhare zakham sare,
Nigahoon main sab ki nazare base the,
Diye jal rahe the sitare base the,
Mere aansuon ko kisi ne na dekha,
Kabhi tum idhar se guzar ke to dekho.