be-nigah aankho`N se dhaikhte hien parcho`N ko
be-khiyaal ankho`N se
un-bunay se lafzo`N per ungliya`N ghumate hien
ya sawal-namay ko dhaikhte hee jate hien
her taraf kan-akhyo`N se bach-bacha k takte hien
dosro`N k parcho`N ko rah-numa samajhte hien
shayad is tarah koii raasta hii mil jaye
be-nisha`N khwabo`N ka kuch pata hii mil jaye
mujh ko dekhte hien tu
youn juwab-copy per
hashiye lagatay hien. dairay banatay hain
jaise un ko parchay k sub jawaab aatay hien:cool:
is tarah k manzar mien
imtihan-gaho`N mien daikhta hii rehta hoon
naQal kerne walon k nat-naye tareeko`N se
aap lutf leta tha, dosto`N se kehta tha
kis taraf se janay ye
aaj dil k aangun mien ik khiyaal aaya hai
sainkaro`N sawalo`N sa ik sawal aaya hai
waQt ki aadalat mien, zindagii ki soorat mien
ye jo mere haatho`N mien ik sawal-nama haii
kis ne banaya hai.. kis liye banaya hai
kuch samajh mein aaya hai
zindagii k parchay k
sub sawal lazim hain... sub sawal mushkil hien
be-nigah ankho`N se daikhta hoon parche ko
un-bunay se lafzo`N per ungliya`N ghumata hoon
hashiye lagata hoon
daaire banata hoon
ye sawal-namay ko
daikhta hii jata hoon
~Amjad Islam Amjad