tu paas bhi ho tou dil beqarar apna hai
keh humko tera nahi intizar apna hai
millay koi bhi tera zikr chaid detay hain
keh jaisay sara jahan razdar apna hai
wo dur ho tou baja tark e dosti ka khayal
wo samnay ho kab ikhtiyar apna hai
zamanay bhar kay dhukho ko laga liey dil say
is asray pe keh ik ghamgasar apna hai
bala say jaan ki zayan ho is aistmad ki khair
wafa karay ya na karay phir bhi yaar apna hai
faraz rahat e jan bhi wohi hai kya kijiey
wo jis kay hath say sina figar apna hai