Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 232 - Total Replies: 4

POSTED BY: kashish on 05/04/2008 05:14:01


Aye ishq humain barbaad na kar


Aye ishq humain barbaad na kar
Aye ishq humain barbaad na kar

aye ishq na chair aa aa k humain
hum bhoole huoon ko yaad na kar
pehle bhi bohat nashaad hain hum
tu aur humain nashaad na kar
qismat ka sitm hi kam nahi kuch
yeh taza sitm ejaad na kar

yeh zulm na kar, bedaad na kar
aye ishq humain barbaad na kar

raatoon ko uth uth kar rotay hain
ro ro k duaein karte hain
aankhoon main tawasar dil main khalish
sar dhoonte hain aahain bharte hain
aye ishq yeh kaisa rog laga
jeete hain na zalim marte hain

in khuwaab se yun aazad na kar
aye ishq humain barbaad na kar

jis din se bandha hai dhiyaan tera
ghabraye huye se rehte hain
har waqt tasawar kar kar k
sharmaye huye se rehte hain
murjaye huye phoolon ki tarha
murjaye huye se rehte hain

paamaal na kar bedagh na kar
aye ishq humain barbaad na kar





--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~




POSTED BY: Scorpion_King on 05/04/2008 06:39:45


kashji awesome...u r the best

 

well, agar haal yeh raha tho....ishq se door rehna behtar hain

Back To Top




POSTED BY: spiritualguy on 06/04/2008 10:04:14



kashish wrote:
raatoon ko uth uth kar rotay hain
ro ro k duaein karte hain
aankhoon main tawasar dil main khalish
sar dhoonte hain aahain bharte hain
aye ishq yeh kaisa rog laga
jeete hain na zalim marte hain


jis din se bandha hai dhiyaan tera
ghabraye huye se rehte hain
har waqt tasawar kar kar k
sharmaye huye se rehte hain
murjaye huye phoolon ki tarha
murjaye huye se rehte hain  


sunder chitran kiya hai aapne..





--------------------------------------------------------------
B practical to save ur own identity....
Back To Top




POSTED BY: spiritualguy on 06/04/2008 10:05:50


isiliye to kaha hai kisi ne....


YE ISHQ NAHI AASAAN BAS ITNA SAMAJH LIJE..


EK AAG KA DARIYA HAI AUR DOOB KE JANA HAI...





--------------------------------------------------------------
B practical to save ur own identity....
Back To Top




POSTED BY: kashish on 07/04/2008 05:03:09


bilkul sahi kish n sahil ......thanx  alotttttt




--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~
Back To Top
19/11/2026



*** NkuT.Com ***