| POSTED BY: kashish on 05/04/2008 05:14:01 |
|
Aye ishq humain barbaad na kar
Aye ishq humain barbaad na kar Aye ishq humain barbaad na kar
aye ishq na chair aa aa k humain hum bhoole huoon ko yaad na kar pehle bhi bohat nashaad hain hum tu aur humain nashaad na kar qismat ka sitm hi kam nahi kuch yeh taza sitm ejaad na kar
yeh zulm na kar, bedaad na kar aye ishq humain barbaad na kar
raatoon ko uth uth kar rotay hain ro ro k duaein karte hain aankhoon main tawasar dil main khalish sar dhoonte hain aahain bharte hain aye ishq yeh kaisa rog laga jeete hain na zalim marte hain
in khuwaab se yun aazad na kar aye ishq humain barbaad na kar
jis din se bandha hai dhiyaan tera ghabraye huye se rehte hain har waqt tasawar kar kar k sharmaye huye se rehte hain murjaye huye phoolon ki tarha murjaye huye se rehte hain
paamaal na kar bedagh na kar aye ishq humain barbaad na kar
--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~
|