|
haqeeqat hai yaqeen kar lo, main uss ko bhool kar khush hoon mohabbat mar chuki ab to, main uss ko bhool kar khush hoon
badaltii rut ki wajah sey, tabiyat kuch bojhal sii hai youN mera haal mat pooch, main uss ko bhool kar khush hoon
meray lehjay par mat chonko, meri aankhon mein mat jhaanko youN hayrat sey naa dekho, main uss ko bhool kar khush hoon
tumhain kya weham hai, kyun raat bhar milnay nahin aatiiN aye meri neend ki pariyo! main uss ko bhool kar khush hoon
bhala kyun roz baahaiN waa kiye mujh sey milnay aati hain tum uss ki yaad sey kah do, main uss ko bhool kar khush hoon
udaasi saray ghar mein phailtii jaati hai ghum ban kar dar o deewar pay likh do, main uss ko bhool kar khush hoon
--------------------------------------------------------------
SALAM YA HUSAIN(A.S)
|