yadoon ki baraf par paoon rakhun man jalta hai
mazi ki kitab khulun tou naya dard milta hai
koshish tou karta hun mazi ki kahani bhul jaoon
jab thadi hawa chalti ha naya zakhm khilta hai
din bhar soto main baith kar nai rah dhundu magar
nai chingarian jalti hai suraj dheeray dheeray jo dhalta hai
aisi amazish hai meri chahat main dosto
aisay pighalta hun jaisay pani main namak ghulta hai
kab ka mita dia ossay dil ki kitab say
na janay phir bhi kyu dil main shola bhalta hai
mohsin os kay aanay ka guman kyu hota hai
jab bhi ojday gulshan main koi pata jalta hai