Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 257 - Total Replies: 2

POSTED BY: Sahiil on 16/03/2008 17:58:24


Hum aksar Yeh Samajhte Hain,
Jisay Hum Piyaar Karte Hain,
Usey Hum Bhool Baithey Hain...


Mager Aisa Nahi Hota...
Mohabbat Daimi Such Hai,


Mohabbat Thehir Jaati Hai,
Hamari Baat Ke Ander...
Mohabbat Baith Jaati Hai,
Hamari Zaat Ke Ander...


Mager...


Ye Kam Nahi Hoti,
Kisi Bhi Dukh Ki Soorat Mein,
Kabhi Koi Zaroorat Mein,
Kabhi Anjaan Se Gham Mein,
Kabhi Lehjay Ki Thandak Mein,
Udaasi Ki Zaroorat Mein,
Kabhi Baarish Ki Soorat Mein...
Hamari Aankh Ke Ander,
Kabhi Aab-e-Rawan Ban Kar,
Kabhi Qatray Ki Soorat Mein...
Bazahir Aisa Lagta Hai,
Usey Hum Bhool Baithay Hain...


Mager,


Aisa Nahin Hota,
Magar Aisa Nahi Hota....
Ye Hargiz Kam Nahi Hoti,
MOHABBAT THEHIR JAATI HAI...





POSTED BY: kashish on 17/03/2008 06:44:10


bahot khoob sahil ji




--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~
Back To Top




POSTED BY: khatri007 on 17/03/2008 12:17:51


ati uttam




--------------------------------------------------------------
TaKe My HaNd nd NeVEr LeT Go......!!
Back To Top
19/11/2026



*** NkuT.Com ***