| POSTED BY: Kshitiz on 16/03/2008 15:25:50 |
|
Kuch is tarha meri ankho mein basy hein Ansu Hont chup hein to zuban ban k sajey hein Ansu
khud hi dy kar meri Ankho mein yah sary Ansu Poochta hai key baata kisney diya hein Ansu
Faarq itna sa hai chaahat mein meri aur uski usko khushia hi milen mujhko mily hein Ansu
Jisko her ghum sy bachaya tha meri chahat ny Aaj us shaks ney Ankho mein diye hein Ansu
Dekhty kia ho meri Aankh sey niklaa Ansu Ankh meri ha magar us key sajy hein Ansu
Khud to aram sey wo mujhko bhola betha ha jiski chahat ki saza mein yeh miley hein Ansu
Yeh meri ankh nahi raait ka sehra hai jahan khushk ankho mein kali ban k khely hein Ansu
--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
|