|
Khiyaloon ke do-rahay per khari,
Soochon ki duniya mein gum..
Afkaar ke dharay main behti,
Khiyaloon ki kashmakash mein phansi..
Main ik gumnaam si larki!
Sapnoon ko ankhon main sajaye,
Khuaboon ko dil main basaye.
Umeedon ko mann main samaye,
Apni he zaat mein dobi..
Main ik bay-naam si larki!
Chahatoon se har damm ladee hoye,
Muhabbatoon se qadam ba qadam sambhaltee hoye,
Apni he zaat main bikhartee hoye,
Aur phir Allah ki rehmatoon se simatati hoye..
Main ik gumnaam si larki..
Badaltay ravaiyoon ko jab dekhon,
Lamhay main tootatay rishtoon ko jab soochon.
Rishtay main parti dararoon ko jab toloon,
Ajab tazbazab ka shikar hoti..
Main ik gum naam si larki!
Apni zaat ke samandar main doobi hoye hay jo,
Zindagi key sahil pe muntazir khari hay jo,
Nat naye wahmoon main ghiree hoye hay jo..
Har lamha soch ki naye dehleez pe ankhain jamaye,
Har pal kissi naye kashmakash main mubtila hay jo..
Khiyaloon ki zanjeer main giraftaar hay jo..
Haan main wohi hoon..
Ik baynaam si larki..
--------------------------------------------------------------
To love someone is one thing, to be loved is another, to be loved by the one you love is everything.
|