Aaj Rootha huwa ik dost boht yaad aaya
Acha guzra huwa kuch waqt boht yaad aaya.
Meri aankho k her ik ashk pe ronay wala
Aaj jab aankh yeh roee tu boht yaad aaya.
Jo mere dard ko seene main chupa laita tha
Aaj jab dard huwa mujh ko boht yaad aaya.
Jo meri aankh main kajal ki tara rehta tha
Aaj kajal jo lagaya to boht yaad aaya.
Jo mere dil k tha qareeb faqat us ko hi
Aaj jab dil nay bulaya to boht yaad aaya