Tanhaiyo me baith ke dil ko manate hain..
Apne zakhmo per khud hee marham lagate hain...
Mumkin nahi tha usse kabhi apna bana-na..
Roz phir bhi ye khwab ham sajate hain..
karke gaye hain wo wada ham se phir-milne ka..
Bas intezar me unke ham waqt guzarte hain..
Maana ki woh bewafa hain, magar phir bhi'
Karke usse yaad dard-e-dil aur badate hain...
Thak-gayi uska rasta dekhte dekhte..
Koi-Bataye jo chala gaya,use kaise bhulate hain..