Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 242 - Total Replies: 0

POSTED BY: aneela on 21/11/2007 09:24:06


..........AIK HUM HAZZAR GHUM........


Aansoo Men Na Dhoondna Hamain,
Dil Men Hum Bas Jaayenge,

Tamanna Ho Agar Milne Ki,
To Band Aankhon May Nazar Aayenge.

Lamha Lamha Waqt Guzer Jaayega,
Chand Lamhon Main Daaman Choot Jaayega,

Aaj Waqt Hai Do Baatein Kar Lo Humse,
Kal Kya Pata Kon Apke Zindagi Main Aa Jayega.

Paas Aakar Sabhi Door Chale Jaate Hain,
Hum Akele The Akele Hi Reh Jaate Hain,

Dil Ka Dard Kisse Dikhaayen,
Marham Lagane Wale Hi Zakhm De Jaate Hain,

Waqt To Humen Bhula Chuka Hai,
Muqaddar Bhi Na Bhula De,

Dosti Dil Se hum Isiliye Nahin Karte,
Kion ke Darte Hain,Koi Phir Se Na Rula De,

Zindagi Main Hamesha Naye Log Milenge,
Kahin Ziyada To Kahin Kam Milenge,

Aitbaar Zara Soch Kar Karna,
Mumkin Nahi Har Jagah Tumhe Hum Milenge.

Khushbo Ki Tarah Aap ke Paas Bikhar Jayenge,
Sukoon Ban kar Dil Main Utar Jayenge,

Mehsoos Karne Ki Koshish To Kijiye,
Door Hote Hoye Bhi Pass Nazer Aayenge..............




--------------------------------------------------------------
ANEELA
18/11/2026



*** NkuT.Com ***