| POSTED BY: aneela on 17/11/2007 16:18:50 |
|
Meray Khuwab Meray Sapnay Meray Tak Hain Meray Baad Enhay Yaad Karay Ga Kaun
Meri Chahaat Ban Jaye Gi Afsana Meri Mohabat Ko Yaad Karay Ga Kaun
Meray Tak Hain Yeh Tamam Sunder Nazaray Meray Baad Enhay Aabad Karay Ga Kaun
Meri Kahaniyian Bikhrein Gi Rahoon Pay Meray Afsanoon Ko Yaad Karay Ga Kaun
Meri Khatayon Ko Shumar Karay Ga Zamana Meri Wafayon Ko Yaad Karay Ga Kaun
Jo Guzaray Thay Hum Nay Zamanay Mill Kay Un Zamanon Ko Yaad Karay Ga Kaun
Meri Aahein Meray Saath Ho Jaien Gi Dafan Meray Aashkon Ko Yaad Karay Ga Kaun
Ek Tum Say Hai Zinda Yeh Chahaat Meri Tum Hee Na Ho Gay Tuo Yaad Karay Ga Kaun
Aa Kay Es Saath Ko Yaadgar Bana Lien Kal Kiya Pata Es Yaad Ko Yaad Karay Ga Kaun.!
--------------------------------------------------------------
ANEELA
|