Meri dastan-e-hasrat wo suna suna ke rooay…
Mere azmaney wale mujhe aazma ke rooay…..
Jo sunaai anjuman main shab-e-gham ki aap’biti….
kuch roo ke muskuraey kuch muskura ke rooay……..
Teri kuch adaon pe, kuch teri be’wafaiyun pe….
Kabhi mun chupa ke rooay kabhi sar jhuka ke roay…
Main hoon be-watan musafir mera naam be-kasi hai..
Mera koi bhi nahi jo mujhe galay laga ke rooay…….
Mere pass say guzar kar mera haal tak na poocha..
Main ye kaisay maan loonn ki woh door jaa ke rooay….
Meri dastan-e-hasrat wo suna suna ke rooay….
Mere azmaney wale mujhe aazma ke rooay…..