Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 253 - Total Replies: 2

POSTED BY: detectiveash on 14/07/2007 06:47:01


wafa ruswa nahi karna

suno aisa nahi karna

mai pehle hee akela hun

mujhe tanha nahi karna

bohat masroof ho jana

to socha nahi karna

bharosa bhi zuroori hai

lekin sab ka nahi karna

muqaddar phr muqaddar hai

kabhi daawa nahi karna

jo likha hai wo hona hai

kabhi shikwa nahi karna

meri takmeel tm se hai

mujhe aadha nahi karna

haqeeqat hai milan apna

isay sapna nahi karna

hamay tm yaad rehte ho

hamay bhoola nahi karna

wafa ruswa nahi karna

suno aisa nahi karna 





--------------------------------------------------------------
Biggest gamble of my LIfe...........




POSTED BY: saim110 on 14/07/2007 09:40:34


oohhoo ashh g ye 202 main se kiss k liye hai




--------------------------------------------------------------
[color=
Back To Top




POSTED BY: detectiveash on 14/07/2007 14:08:58


shhhhhhhhhhhh saim

har jaga zikar nahi karte 202 ka





--------------------------------------------------------------
Biggest gamble of my LIfe...........
Back To Top
19/11/2026



*** NkuT.Com ***