Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 254 - Total Replies: 0

POSTED BY: Kshitiz on 07/10/2007 08:43:12


Jab bhi kerta hoon lagti hai har baat tanha
Guzare hain barsoon maine din raat tanha

Ek khala hai azizon ki rafaqat ke bawajood
Ker gaye hain kis terhan mujhe halat tanha

Lepat gaye hain sabhi andhere ki lapet main
Har koi samjhe hai magar apni zaat hai tanha

Nahi chand weraan hai shaab taroon ke bawajood
Jaise ho bin dulhe ke baraat tanha

Milte the jo kal sary rah jo humeen
Kyun hone lagi hai unse baat tanha

Jaab alweda kehti hai “Naz” woh hasrat bhari nigaheen
Barasti hai meri ankhoon se barsaat tanha...




--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
18/11/2026



*** NkuT.Com ***