| POSTED BY: Kshitiz on 05/10/2007 00:07:57 |
|
teri jheel si aankhon mein rat-jagoon k bhanwar tere phool se chehre pe chandani ki phawar
diyar-e-lab pe yaman k surakh aqeeq.... Aaineye si jabee pe sajda-gah-e-lail-o-nihar
agr teri jabeen pe hadisoon k naqsh ubhrein tu mizaj-e-gardash-e-dooraan b larkhara jaye
tu mukaraye tu subah tujhe slam kare........ tu ro pare tu zamane ki aankh bhar aye....
tera khiaal hai khushboo,tera libas hai kiran tu khak zadi hai aasman se utri hai
mein tuje dekh dekh ker khud se sawal poochta hoon yeh moj-e-rang zameen pe kahan se utri hai
yun tu dekhe duniya mein kai haseen chehre magar mein be-niaz raha moj-e-saba ki tarah
teri qasam,teri qurbatoon k mosmoon k beghair mein zameen pe akela phira khuda ki tarah
mein kaise tuje lafzoon ka pairhan bakhshoon mere hunar ki bulandi ser-nigoon hai abi
tere jism k khad-o-khal mere bas mein nahi mein kaise tuje sochta hoon yahi junoon hai abi
&nb sp; yahi junnon hai abi &nb sp; yahi junoon hai abi
--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
|