Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 294 - Total Replies: 0

POSTED BY: Kshitiz on 05/10/2007 00:07:57


teri jheel si aankhon mein rat-jagoon k bhanwar
tere phool se chehre pe chandani ki phawar

diyar-e-lab pe yaman k surakh aqeeq....
Aaineye si jabee pe sajda-gah-e-lail-o-nihar

agr teri jabeen pe hadisoon k naqsh ubhrein
tu mizaj-e-gardash-e-dooraan b larkhara jaye

tu mukaraye tu subah tujhe slam kare........
tu ro pare tu zamane ki aankh bhar aye....

tera khiaal hai khushboo,tera libas hai kiran
tu khak zadi hai aasman se utri hai

mein tuje dekh dekh ker khud se sawal poochta hoon
yeh moj-e-rang zameen pe kahan se utri hai

yun tu dekhe duniya mein kai haseen chehre
magar mein be-niaz raha moj-e-saba ki tarah

teri qasam,teri qurbatoon k mosmoon k beghair
mein zameen pe akela phira khuda ki tarah

mein kaise tuje lafzoon ka pairhan bakhshoon
mere hunar ki bulandi ser-nigoon hai abi

tere jism k khad-o-khal mere bas mein nahi
mein kaise tuje sochta hoon yahi junoon hai abi

            &nb sp;   yahi junnon hai abi
            &nb sp;   yahi junoon hai abi




--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
18/11/2026



*** NkuT.Com ***