Color Scheme : DEFAULT  
Welcome Guest Login or Signup
   



Bookmark:
RSS 1.0     RSS 2.0

Total Views: 231 - Total Replies: 0

POSTED BY: kashish on 30/09/2007 07:15:24


Kisi ne kaha muhabbat kya hai
Samandar ne kaha.
Mohabbat samandar ki gahiraiyo main chupi hue ik ispet hai
Jis main chahat jaisi anmol moti majood hai
Badal ne kaha.
Mohabbat ik dhanak hai jis me har rang nomaya hai
Shahir ne kaha.
Mohabbat ik aisi ghazal hai jo
Har ek sun ne wale ke dil main utar tha jati hai
Maali ne kaha./
Mohabbat gullsahan ke phool ki woh dilkash khusboo hai
Jis me sara gullshan mehkta hai
Aankhon ne kaha.
Mohabbat aansoo ka samandar hai jo kisi ke
Intezar main khamoshi se baihta hai
Naseeb ne kaha.
Mohabbat karne wala is duniya ka khush kismat insaan hai
Aur jis ke dil me mohabbat nahin
Who is duniya ka badtareen insaan hai?
Dil ne kaha..
Mohabbat Kisi KO khamoshi se chahe Jane ka naam hai
Nafrat ne kaha.
Akhir jeet mohabbat ki hoti hai 

 




--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~
18/11/2026



*** NkuT.Com ***