| POSTED BY: kashish on 30/09/2007 07:15:24 |
|
Kisi ne kaha muhabbat kya hai Samandar ne kaha. Mohabbat samandar ki gahiraiyo main chupi hue ik ispet hai Jis main chahat jaisi anmol moti majood hai Badal ne kaha. Mohabbat ik dhanak hai jis me har rang nomaya hai Shahir ne kaha. Mohabbat ik aisi ghazal hai jo Har ek sun ne wale ke dil main utar tha jati hai Maali ne kaha./ Mohabbat gullsahan ke phool ki woh dilkash khusboo hai Jis me sara gullshan mehkta hai Aankhon ne kaha. Mohabbat aansoo ka samandar hai jo kisi ke Intezar main khamoshi se baihta hai Naseeb ne kaha. Mohabbat karne wala is duniya ka khush kismat insaan hai Aur jis ke dil me mohabbat nahin Who is duniya ka badtareen insaan hai? Dil ne kaha.. Mohabbat Kisi KO khamoshi se chahe Jane ka naam hai Nafrat ne kaha. Akhir jeet mohabbat ki hoti hai
--------------------------------------------------------------
Hazaron Manzilain Hongi HazarOn Karvaan HongayNigahein HumKo DhOondHain Gi Najane Hum Kahan Hongay~
|