| POSTED BY: Kshitiz on 24/09/2007 18:06:56 |
|
Pyaas vo dil kii bujhaane kabhii aayaa bhii nahii.n ! Kaisa baadal hai ki jiska ko_ii saayaa bhii nahii.n !!
BeruKhii is se ba.Dii aur bhalaa kyaa hogii ! Ek muddat se hame.n us ne sataayaa bhii nahii.n !!
Roz aataa hai dar-e-dil pe vo dastak dene ! Aaj tak hamane jise paas bulaayaa bhii nahii.n !!
Sun liyaa kaise Khudaa jaane zamaane bhar ne ! Wo fasaanaa jo kabhii hamane sunaayaa bhii nahii.n !!
Tum to shaayar ho '' aur vo ik aam saa shaKhs ! Us ne chaahaa bhii tujhe aur jataayaa bhii nahii.n !!
--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
|