|
| POSTED BY: Kshitiz on 24/09/2007 18:04:29 |
|
Main Aiyna Hoon,Wo Mera Khayal Rakhti Hay......
Main Aiyna Hoon,Wo Mera Khayal Rakhti Hay Main Toot-ta Hoon Tu Chun Kar Sambhal Rakhti Hay,
Har Aik Maslay Ka Hal Nikal Rakhti Hai Samajhdaar hai Hai,Mujhay Hairat Main Daal Rakhti Hay,
Main Jab Bhi iqraar Ki Baat Karta Hoon Woh Rokti Hay Mujhay, Kal Pay Taal Rakhti Hay,
Woh Mairay Dard Ko Chunnti Hay Apnay Pooron Say Woh Mairay Wastay Khud Ko Nidhaal Rakhti Hay,
Woh Dobnay Nahi Daiti Hay Dukh Kay Darya Main Mairay Wajood Ki Naow Uchaal, Rakhti Hay,
Duain Uss Ki , Balaoon Ko Rook Laiti Hain? Woh Mairay Chaar Soo Hathon Ki Dhaal Rakhti Hay,
Ik Aisi Dhunn ,Kay Nahin Phir Kabhi Main Nay Suni Woh Munfarid Saa Hansi Main Kamal Rakhti Hay..... ,
Usay jawab mere Kahan Gawara Hain,, Woh Mairay Wastay Asaan Sawal Rakhti Hay,
Bichar Kay Uss Say Main Duniya Ki Thokaron Main Hon Woh Pass Ho Tau Mujhay Lazawaal Rakhti Hay......... ,
Woh Muntazir Mera Rehti Hay Dhoop Main Main Laut-ta Hoon To daman Nikal Rakhti Hay...!
--------------------------------------------------------------
it's very easy to hurt someone & say sorry, but it is really very difficult to get hurt & say I"M Fine..
|